dekhaa thaa yoon hi kisi ghaflat shi'aar ne..

dekhaa thaa yoon hi kisi ghaflat shi'aar ne
deewaana kar diyaa dil e beikhtiyaar ne

aye aarzoo ke dhudhle kharaabo! jawaab do
phir kiski yaad aayi thi mujhko pukaarne

tujh ko khabar nahin magar ik saadalauh ko
barbaad kar diyaa tere do din ke pyaar ne

main aur tum se tark e mohabbat ki aarzu
deewaana kar diyaa hai gham e rozgaar ne

ab aye dil e tabaah ! teraa kyaa khayaal hai
hum to chale the kaakule geti sanvaarne

saahir ludhiyaanwi 

Comments

Popular Posts