ishrate qatra hai daryaa mein fanaa ho jaanaa

ishrate qatra hai daryaa mein fanaa ho jaanaa
dard ka had se guzarna hai dawaa ho jaana

tujhse qismat mein meri soorat e kufl e abjad
thaa likhaa baat ke bante hii judaa ho jaana

dil huaa kashmakash e charaa-e-zahmat mein tamaam
miT gaya ghisne mein is uqdaa kaa waa ho jaana

ab jafaa se bhi hain mahroom hum, allaah-allaah
is qadar dushman e arbaab e wafaa ho jaanaa

jof se giriyaa mubaddal ba-dam-e-sard huaa
baawar aaya humen paani kaa hawaa ho jaanaa

dil se miTna teri angusht e hinaayi kaa kHayaal
ho gayaa gosht se naakHun kaa judaa ho jaana

hai mujhe abr e bahaari kaa baras kar khulnaa
rote rote gHum e furqat mein fanaa ho jaanaa

gar nahin nakhat e gul ko tere kooche kii hawas
kyun hai gard e rahe jaulaan-e-sabaa ho jaana

bakHshe hai jalwa-e-gul, zauq-e-tamaashaa, gHaalib
chashm ko chaahiye har rang mein waa ho jaanaa

Mirzaa Ghaalib

Comments

Popular Posts