jaaN duniyaa bas ek ziyaaN kaa saudaa thaa

jaaN duniyaa bas ek ziyaaN kaa saudaa thaa
raah e talab mein kisko ye andaazaa thaa

aaNkhoN mein deewaar kaa kaajal Daala thaa
aanchal pe umeed kaa taaraa TaaNkaa thaa

haathoN kii baaNki chhan chhan chhan hansti thii
pairoN kii jhaajhan ko gHussa aata thaa

hawaa sakhi thii meri, rut hamjoli thii
ham teenoN ne milkar kya kya sochaa thaa

har kone mein apne aap se baateN kiiN
har pahlu se aaine mein dekhaa thaa

shaam dhale aahaT kii kirne phooTii thiN
sooraj Doob ke mere ghar mein niklaa thaa

Zahra Nigaah 

Comments

Popular Posts