lapaT sii daagH e kuhan kii taraf se aati hai

lapaT sii daagH e kuhan kii taraf se aati hai
jab ik hawaa tire tan kii taraf se aati hai

main teri manzil e jaaN tak paNhunch to saktaa hooN
magar ye raah badan kii taraf se aati hai

ye mushk hai ke muhabbat mujhe nahin maa'loom
mahak sii mere hiran kii taraf se aati hai

pahaaD chup hain to ab reg-zaar bolte hain
nidaa-e-koh kHatan kii taraf se aati hai

kisi ke wa'daa-e-fardaa ke barg o baar kii kHair
ye aag hijr ke ban kii taraf se aati hai

jugoN ke khoye huwoN ko pukaartaa hai ye koun
sadaa to kHaak watan kii taraf se aati hai

Irfaan Siddiqui

Comments

Popular Posts