shaher kyun raat mein bedaar hai main kya jaanooN

shaher kyun raat mein bedaar hai main kya jaanooN
jashn hai subah ke paikaar hai main kya jaanooN

ek qatra bhi mere kooza e kHaali mein nahin
har taraf abr guhar baar hai main kya jaanooN

aashiqoN ke sar e tasleem ko tasleem se kaam
ab ye abroo hai ke talwaar hai main kya jaanooN

saiyyad karta hai kisi aur kii marzi se mujhe
kHud bhi saiyyaad giraftaar hai main kya jaanooN

main to ik dard ka sarmaaya liye baitha hoon
ye meri jaan kaa aazaar hai main kya jaanooN

main to ik bikhri hui saf kaa piyaada thahraa
koun is fauj ka saalaar hai main kya jaanooN

tu furastaadaa-e-sarkaar nahin hai naa sahi
haath mein mahzar e sarkaar hai main kya jaanooN

shahn shahr kii kHidmat main lage hain sab log
koun gHaalib kaa tarafdaar hai main kya jaanooN

ik nayaa rang ho yadaa hai miri aankHoN main
aaj kya surKhi ikHbaar hai main kya jaanooN

tujh ko sailaab ke aane kii kHabar de dii hai
teraa dar hai tiri deewaar hai main kya jaanooN

main namoo karne pe raazi nahin be mauj e bahaar
mausam e darham o deedaar hai main kya jaanooN

sar e pindaar to mujh ko bhi nazar aata hai
aur kya kya tai-e-dastaar hai main kya jaanooN

qaht main kab se dukaaN mire paDi hai kHaali
ishq se garmiye baazaar hai main kya jaanooN

hai kahin subh e kHush aasaar bhi lekin fii al-hilaal
meri aage to shab e taar hai main kya jaanooN

mujh ko aati hai tire harf se ehsaas kii aanch
sab tiri garmi e guftaar hai main kya jaanooN

Irfaan Siddiqui

Comments

Popular Posts