teri qeemat ghataayi jaa rahi hai

teri qeemat ghataayi jaa rahi hai
mujhe furqat sikhaayi jaa rahi hai

ye hai ta'meer e duniya ka zamaana
haveli dil kii dhaayi jaa rahi hai

wo shai jo sirf hindustan kii thii
wo pakistan laayi jaa rahi hai

kahaaN kaa deen, kaisaa deen, kyaa deen
ye kya gaDbaD machaayi jaa rahi hai

sha'oor e aadmi kii sarzameeN tak
kHuda kii ab duhaayi jaa rahi hai

bahut sii soorateN manzar mein laakar
tamannaa aazmaayi jaa rahi hai

nahin maaloom kyaa saazish hai dil kii
ke kHud hii maat khaayi jaa rahi hai

hai weeraani kii dhoop aur ek aangan
aur is par loo chalaayi jaa rahi hai

Jaun Elia

Comments

Popular Posts