baadshaahoN ko sikhaaya hai qalandar hona


baadshaahoN ko sikhaaya hai qalandar hona
aap aasaan samajhte hain "munawwar" hona

ek aansu bhi hukoomat ke liye kHatra hai
tumne dekha nahin aankhoN ka samandar hona

sirf bachchoN kii mohabbat ne qadam rok liye
warna aasaan tha mere liye beghar hona

hum ko maaloom hai shohrat kii bulandi humne
qabr kii mitti ka dekha hai baraabar hona

isko qismat kii kHaraabi hii kahaa jaayega
aapka shahr mein aana mera baahar hona

sochta hoon to kahani kii tarah lagta hai
raaste se mira takna tira chhat par hona

mujh ko qismat hi pahunchne nahin deti warna
ek e'zaaz hai us dar ka gadaagar hona

sirf taareekH bataane ke liye zinda hoon
ab mira ghar mein bhi hona hai calendar hona

Munawwar Rana (Paidaaish: 26 November, 1952)


Comments

Popular Posts