dost ban kar bhi nahin saath nibhaane waala

dost ban kar bhi nahin saath nibhaane waala
wahi andaaz hai zaaalim ka zamaane waala

ab use log samajhte hain giraftaar mera
sakht naadim hai mujhe daam mein laane waala

kya kaheN kitne maraasim the humaare usse
wo jo ik shakhs hai mooNh pher ke jaane waala

tere hote hue aa jaati thii saari duniya
aaj tanha hooN to koi nahin aane waala

sub-ha-dam chhoD gaya nik'hat-e-gul kii soorat
raat ko Ghunchaa-e-dil mein simaT aane waala

muntazir kiska hooN TooTi hui dahleez pe main
koun aayega yahaan koun hai aane waala

kya kHabar thii jo miri jaaN mein ghula hai itna
hai wahi mujhko sar-e-daar bhi laane waala

main ne dekha hai bahaaroN mein chaman ko jalte
hai koi khwaab kii taabeer bataane waala

tum takalluf ko bhi ikHlaas samajhte ho "faraaz"
dost hota nahin har haath milaane waala


(Ahmad 'Faraaz')

Comments

Popular Posts