dost hai to mera kahaa bhi maan

dost hai to mera kahaa bhi maan
mujhse shikwa bhi kar, bura bhi maan

dil ko sabse bada hareef samajh
aur is sang ko kHuda bhi maan

main kabhi sach bhi bol deta hoon
gaahe gaahe mera kahaa bhi maan

yaad kar devtaaon ke awtaar
ham faqeeroN kaa silsilaa bhi maan

kaagHazoN kii kHamoshiyaaN bhi paDh
ik ik harf ko sadaa bhi maan

aazmaaish mein kya bigaDta hai
farz kar aur mujhe bhalaa bhi maan

meri baatoN se kuch sabak bhi le
meri baaton kaa kuch buraa bhi maan

gHam se bachne kii soch kuch tarkeeb
aur is gHam ko aasraa bhi maan

Raahat Indori (Paidaaish: 1 January, 1950)

Comments

Popular Posts