kHuddaariyoN ke kHoon ko arzaaN naa kar sake

kHuddaariyoN ke kHoon ko arzaaN naa kar sake
hum apne jauharoN ko numaayaaN naa kar sake

hokar kharaab-e-mai tere gham to bhulaa diye
lekin gham-e-hayaat ko darmaaN naa kar sake

TooTaa tilism-e-ahd-e-mohabbat kuch is tarah
phir aarzoo kii sham'aa farozaaN naa kar sake

har shai qareeb aake kashish apni kho gayi
wo bhi ilaaj-e-shauq-e-gurezaaN naa kar sake

kis darja dilshikan the mohabbat ke haadse
hum zindagi mein phir koi armaaN naa kar sake

maayusiyoN ne chheeN liye dil ke walwale
wo bhi nishaat-e-rooh kaa saamaaN naa kar sake

(Saahir Ludhiyaanwi)


.....................................................

ख़ुद्दारियों के ख़ून को अर्ज़ां ना कर सके
हम अपने जौहरों को नुमायाँ ना कर सके

होकर ख़राब-ए-मै तेरे ग़म तो भुला दिए
लेकिन ग़म-ए-हयात को दरमाँ ना कर सके

टूटा तिलिस्म-ए-अहद-ए-मोहब्बत कुछ इस तरह
फिर आरज़ू की शम्म'आ फ़रोज़ाँ ना कर सके

हर शै क़रीब आके कशिश अपनी खो गयी
वो भी इलाज-ए-शौक़-ए-गुरेज़ाँ ना कर सके

किस दर्जा दिलशिकन थे मोहब्बत के हादसे
हम ज़िन्दगी में फिर कोई अरमां ना कर सके

मायूसियों ने छीन लिए दिल के वलवले
वो भी निशात-ए-रूह का सामाँ ना कर सके

(साहिर लुधियानवी)

Comments

Popular Posts