wo ek tum ke saraapaa bahaar-o-naazish-e-gul

wo ek tum ke saraapaa bahaar-o-naazish-e-gul
wo ek main ke nahin soorat aashnaaye bahaar

zamaaN pe laala o gul banke aashkaar huaa
chhupaa naa kHaak mein jab husn e kHudnumaaye bahaar

ta'alluq e gulo shabnam hai raaz e ulfat bhi
unheN hansaaye jahaaN tak humeN rulaaye bahaar


Munshi Naubatraay 'Nazar' Lucknowi (1866-1923)

Comments