Ramz

tum jab aaogi to khoya hua paaogi mujhe,
meri tanhaayi mein khwaaboN ke siva kuch bhi nahin
mere kamre ko sajaane kii tamanna hai tumheN
mere kamre mein kitaboN ke siva kuch bhi nahin  

in kitaaboN ne baDa zulm kiya hai mujhpar
in mein ik ramz hai jis ramz ka maara hua zahn
muzda-e-ishrat-e-anjaam nahin pa sakta,
zindagi mein kabhi aaraam nahin paa sakta

~
Jaun Eliya

Comments

Popular Posts