Mere karobaar main sabne badi imdaad ki

Mere karobaar main sabne badi imdaad ki
daad logon ki galaa apna ghazal ustaad ki

apni saanse bechkar maine jisey aabad ki
woh gali jannat to ab bhi hai magar shaddad ki

umra bhar chalte rahe aankhon pe patti baandh kar
zindagi ko dhundne main zindagi barbaad ki

dastaano ke sabhi kirdaar gum hone lage
aaj kaagaz chunati phirti hai pari bagdaad ki

ek sulagtaa cheekhtaa maahol hai aur kuchh nahi
baat karte ho yagaana kis aminabad ki 


Raahat Indori

Comments


  1. "sun ne waale Khud samajh leNge yeh, sunte hi Ghazal
     kaun see shaagird ki hai, kaun see ustaad ki"

    ~Javed Badayuni

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular Posts