Mere karobaar main sabne badi imdaad ki
Mere karobaar main sabne badi imdaad ki
daad logon ki galaa apna ghazal ustaad ki
apni saanse bechkar maine jisey aabad ki
woh gali jannat to ab bhi hai magar shaddad ki
umra bhar chalte rahe aankhon pe patti baandh kar
zindagi ko dhundne main zindagi barbaad ki
dastaano ke sabhi kirdaar gum hone lage
aaj kaagaz chunati phirti hai pari bagdaad ki
ek sulagtaa cheekhtaa maahol hai aur kuchh nahi
baat karte ho yagaana kis aminabad ki

Raahat Indori
ReplyDelete"sun ne waale Khud samajh leNge yeh, sunte hi Ghazal
kaun see shaagird ki hai, kaun see ustaad ki"
~Javed Badayuni